Romantic (Hindi) SMS, Text Messages

Kab Unki Palko Se Izhar Hoga

DownUp 0

Kab unki palko se izhar hoga,
dil ke kisi kone me hamare liye bhi pyaar hoga,
gujar rahi hai raate unki yaado me kabhi to unko hamara intezar hoga?

Teri Mohabbat Pe Sakh Kar Ke..

DownUp 0

Teri mohabbat pe sakh kar ke..
humne aapne aapko kamzor sabit kya hai..
maf karde hume is kahta pe..
aakhir tere judai hi iska karan hai…

Kuch Nasha Teri Baat Ka Hai

DownUp -1

Kuch nasha teri baat ka hai
Kuch nasha dhimi barsaat ka hai
Hum to kabse nashe me dub jaane ko tayyar hai
Intezar to sirf aapki mulakat ka hai..

Aankhon Me Rahne Walo Ko

DownUp 0

Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
Dil me rehne walo ki baat nahi karte,
Hamari to ruh me bus gaye hain aap,
Tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte..

Khwabon Mein Aate Ho Tum

DownUp +1

Khwabon mein aate ho TUM
yaadon mein aate ho TUM
jahan mein jau jahan mein dekhu
mujhe nazar aate ho TUM

Dil Se Tera Khayal Na Jaaye

DownUp 0

Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon??
Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoo?
Hasrat ye hain ke ek nazar dekhloon tuzhko…
Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karo?

Hum Iss Qadar Tumpe Mar Mittege

DownUp +1

Hum iss qadar tumpe mar mittege
Tum jahan dekhoge hum hi tumhe dikhege
Rakhna har pal iss dil mein hamari yaad
Hamare baad hamare pyar ki daastaan duniya vaale likhege….

Labon Pe Aaj Unka Naam Aa Gaya

DownUp 0

Labon pe aaj unka Naam aa gaya,
Pyase pass jaise Jaam aa Gaya,
Dole kadam to gire unki Bahon mein ja kar,
Aaj Hamara Pina hi Hamare Kaam Aa Gaya.

Zindagi Ki Kitab Ke

DownUp 0

Zindagi ki kitab ke kuch panne hote hain,
Kuch apne, Kuch begane hote hain,
Pyar se sanwar jati hai zindagi,
Bas Pyar se rishte nibhane hote hain.

Koi Na Melay To Kismat Se Gila Nahi Kartey

DownUp 0

Koi na melay to kismat se gila nahi kartey!
akser log mil kar bhi mila nahi kartey!
har shaakh par bahaar aati hay Zaroor!
par har shaakh par phool khila nahi kartey…

Usko Chaha Bhi To Iqrar Na Karna Aaya

DownUp +1

Usko Chaha Bhi To Iqrar Na Karna Aaya
Kat Gayi Umer,Humein Pyar Na Karna Aaya
Usne Manga Bhi to humse Judai Mangi
Aur Ek Hum Thay K Inkaar Na Karna Aaya..

Badalna Aata Nahi Humko

DownUp 0

Badalna aata nahi humko mausamo ki tarah
Har ek roop main tera intezar karte hain
Na tum sameet sakogi jise qayamat tak
Kasam tumhari tumhe itna pyar karte hain.

Tum Aayi Ho Meri Zindagi Mein

DownUp 0

Tum aayi ho meri zindagi mein
ek kahani bankar,
tum rehti ho meri aankhon mein
raat ki chaandni bankar,
aankhon mein basa ke maine manzil mana hai tumhe,
tum nikal mat jana meri aankhon se
paani bankar…..

Pal Pal Se Banta Hai Ehsaas

DownUp 0

Pal Pal se banta hai EHSAAS
eshsaas se banta hai VISHWAAS
Vishwaas se bante hai RISHTEY
aur rishto se bante hai koi KHAAS..