Mujhe Chand Kehti Thi Maa
Mujhe chand kehti thi MAA
Sada choomti rehti thi MAA
Main khush rahoon is liye
sare dukh sehti thi MAA
Hoti thi sardi bahut magar
mere kaprey dhoti thi MAA…
Mujhe chand kehti thi MAA
Sada choomti rehti thi MAA
Main khush rahoon is liye
sare dukh sehti thi MAA
Hoti thi sardi bahut magar
mere kaprey dhoti thi MAA…
Main Barson Se Jannat Ki Talaash Mein Nikla Hua Tha,
Lekin Thak Ke Aaj Phir “MAA” Ki Qadmon Mein Aa Gira…
Jab hum bolna nahi jante they to hamara
boley bina MAA hamari batoon ko samajiti thi
OR AJJ
Hum har bat pe kehtey hen choro Ammi aap Nahi
Samjhogi…
“Maa” ka anchal, Dhoop me badal,
Maa ki bahein, Neend ki rahein,
Maa ka daman, Hansta sawan,
Maa ka gussa, Piyar ka hissa,
Maa ki mamta, jeevan hansta,
Maa khud kya hai, Ek “Dua” hai.
“Maa” Tujhey SALAAM
Maan ki baat jaan le jo,
Aankhon se parh le jo,
Dard ho chahe khushi,
Aansoo ki pechan kerle jo,
Wo hasti jo bepanna pyaar kare,
Maa hi to hai wo jo bacho ke liye jiye.
Hey Bhagwan Main rahon na rahon Meri MAA ka khayal rakhna.
Meri Khushiyan bhi le le, Meri Saansain bhi le le,
Magar meri MAA ke gird Sada Khushiyon ka Jaal Rakhna.
Ek Din maa se pocha ki
maa ke marnay ke baad,
dua kon karay ga?
To maa boli…
Samandar sookhnay ke baad bhi
rait main nami reh jati hain.
Maa teri yaad satati hai, mere paas aa jaao,
Thak gayi hoon, mujhe apne aanchal main sulao,
Ungliyaan apni pher kar baalon main mere,
Ek baar phir se bachpan ki loriyaan sunaao!!!
Kisi ne poocha :
Wo kon si jagha hai jahan
har ghalti, har jurm aur
har gunah muaf ho jata hai ?
Ek chotta bacha hassa aur kaha,
“Maa Ke Dil Mein”
Subha se Sham tak Sakht Mehnat aur kam ke baad jab ghar gaya.
To
Baap ne pocha, kya kamaya?
Biwi ne pocha, kya Bachaya?
Aulad ne Pocha, kya laya?
Sirf
Maa ne pocha,din me kuch khaya?
Maa se rishta aisa banaya jaye,
Jisko nigaaho me bithaya jaye.
Rahe uska mera rishta kuch aisa k,
Wo agar udaas ho to humse bhi muskuraya na jaye.
Maa ki 1 dua zindagi bana degi,
khud roye gi magar tujhko hansa degi,
Kabhi bhool k b Maa ko na rulana,
Tumhari ek galti poora arsh hila degi.
Pyaar karana koi tumse seekhe,
Tum mamta ki murat hi nahi,
Sab ke dil ka ek tukda ho,
Main kehta hun Maa,
Tum hamesha aisi hi rehna.
Neend Apni Bhula Kar “SULAYA” Hum Ko
Aansu Apne Gira Ker “HANSAYA” Hum Ko
Dard Kabhi Na Dena Us “HASTI” Ko
Zamana Kehta Hai “MAA” Jis Ko….